Saturday, November 24, 2012

दर्दां दा मैं नाम



दर्दां दा की नाम धरां मैं
नाम बदल एह्दा सजण करां
फिर लाके सीने नाल सजण नूं
जेड़ी आह भरां ओह्दा नाम 
मोहब्बत

Tuesday, August 28, 2012

Raat behad sard hai

raat behad sard hai
berehem hawaaein hai
khwaab hai kuchh gumshuda
bepanah sab raahein hai


kaanpte labon me abb to

bandh gayi guftar jo hai
waqt thama hai or chadi ye
dhadkan ki raftar jo hai


aitmaad e mausam nahi ye

dariya me ufaan ka hai
kashti daali khud toofan me
kya masla fir ilzam ka hai


abb badal bhi gurrata hai
garaj garaj itrata hai
kahan gaye tere aashna
kese hasi udaata hai


raat behad sard hai
berehem hawaaen hai





Monday, July 16, 2012

Ghoont Zindagi




Raat ki kaali naag ke bill se,
chhiney chaand taaron k moti,

badal ki ghanghor ghata se
bijli ke do taar chura ke
kii hai tere baal ki choti,

bhor gagan se li hai laali
or dono haathon me mal ke
sehlaya tere gaalon ko,

chuna hai har patjhad ka patta
Jinhe piro ke haar banaye
singara tere baalon ko,

indradhanush ke rang manga kar
sapno ki kucch kaat ke chadar
choli teri see hai humne,

li udhaar baarish ki chham chham
kuchh saanson ki gehri sargam
jod ke bandish ki hai humne,

har ik tera daur ghumakar
lamha lamha jee hai hume,
Har ik pal ko jaam banakar
ghoont zindagi pee hai humne



Sunday, May 13, 2012

Dastan e Kalam



Mai or meri kalam jab bhi nikalte hai yun hi akele
Chal parte hai anjaan raahon par, koi tasveer dhundhne...


Yaadon kay gali kuucchon se guzarte
Sapno k aangan me titliyan pakadte hai
Udte hai pani me, kabhi aag me tairte hai


Kisi zulfon k badal ki chhaon me sulaati hai
Ansuni awazon ki bochharon me bhigati hai
Magar chehra nahi dikhati kabhi....


Rakhta hun hath uski kamar pe jab
Naach utth'ti hai, lafzon k ghunghru bandhe


Kagaz ki chhoti naav banati hai
Kucch dubaati kucchh tairaati hai
Kuchh me mujhe bitha kar
Khayalon k dariya me door le jaa kar
Jazbaaton ki lehron se takraati hai


Mutthi me bhar k jab udael deti hai
Wo lehre, umadne lagte hai nazmo mein

Thursday, April 26, 2012

Qubool nahi

Shoq e Khajana o Daulat manzoor nahi mujhe 
Nasha e rutba o shohrat manzoor nahi mujhe 
Hai ilm mujhe tere ishq e tilism ka 
Ye ishq e kaifiyat bhi manzoor nahi mujhe 

Chahiye mujhe kuchh ranj o gham ki syahi 
Ik paak kalam, kuchh zameen aur khayaalo ki ugaahi 
Kuchh ilzam, ik jaam aur koi saaqi benaam 
Siwa is kufr k koi rubaaiyat manzoor nahi mujhe

Wednesday, April 25, 2012

Boondein

Aaj din fir badal ki aadh me nam hua hai...
tip tip kar jalti ye barish
kitne sholey dehkayegi kya maloom ...
kya maloom jala kar dubayegi
ya bhigo kar....
shayad yun hi girte hai
paigham aasman se....
kucch me hasi
or gussa bheja hai kuchh me tune,
lekin tera pata nahi batati koi boond...
aaj socha hai
mai bhi likh bhejun jawab
kagaz ki kashti me paigham bhar kay,
barish me baha dun....
or sath me apni adhuri kahani bhi....


Dhul jaegi baarish me,
to shayad ye bhi kinaare tak pohche
warna doobna to kismat hi thi inki....









Thursday, March 22, 2012

kuchh der

Dard ka ehsas bhi to kuchh der hi rehta hai ...
Fir to bas jhannahat reh jaati hai...
koi sitar pe mano chhed gaya ho komal gandhar...
Koi vase gir k toot jaae..
to kuchh der hi gunjti hai cheekh kaano me
kachra samet kar wapas lag jaenge sab kaam par ..
Bhigne k baad kuchh der hi nam rehti hai aakhein
Baki to hawa apna kaam kar jati hai ...
Le jati hai nami uda kar paigham me
Kahin kisi gaal ko chhu jaaye to pehchane kese ...
Sawan ki nami hai ya dard bhar layi hai kisika


Dhyan se suno to bata jaegi
Kaanon me halka komal gandhar suna jaegi !!!




Dard ka ehsas kuchh der hi rehta hai bas ...

Tuesday, March 20, 2012

Bezaar tere sheher me

रुक गया है कारवां, यूँ आ के तेरे शहर में
थम गयी हो मौज ऐ दरिया, जा के किसी लहर में

फँस गयी है कश्ती ऐसे, बढ़ रही ना डूबती
है क़यामत गुमशुदा, बरपा क्या तेरे केहर में

खींच कर लायी थी मुझको, तिलिस्म ऐ बातिल ऐ शमा
बुझ गयी वो रौशनी, तिलमिला के तेरी सेहर में

ख्वाबों के इस अंजुमन में गिर के टूटे है इतने
हो गयी बेख्वाब डर से निगाहें तेरे शहर में

सींचि है बेज़ार मेने इस शहर की तिश्नगी
पी रहा हूँ मिला के, ज़िन्दगी तेरे ज़हर में

Thursday, February 16, 2012

Zindagi ...




kya wo kalam jo likh k sookh jaati hai,
ya hai wo cigarete, k jal k raakh ho jaae
paimana jaam ka hai, pee kar khali gir jaae,
ya wo dhun jise gaate gaate lambi neend aa jaae


ya fir kuchh bhi nahi....


hai ye shayad nazm kalam ka
kagaz pe lafzon ki painting,


ho sakta hai sukoon cigarette ka
raakh hi hogi par chain se jal kay,


paimana na hoga zindagi
hota hoga suroor jaam ka,


bajke bhi reh jaaye zehen me
wo dhun shayad hai ye zindagi ......