Saturday, January 22, 2011

Labon pe mera naam aaya


un lab-e-sabnamo ko chhu aaj mera naam aaya
fiza e shokhiyon me itraata ye payam aaya


aasmaa hi aa jhuka sajde me jiske
hawaon me lehrata unka hi salam aaya





chand ne dekha use chandni me jab
ho chand to uska ghulam aaya


noor e aaftab bhi hai aaj be-roshan
or chiraaghon ko bhi rashk e jalan ka ilzaam aaya


muddaton se the hum to raah-e-muntazir
par mousam-e-bahar bada be-intezaam aaya


ibtida-e-ishq to hum kar betthe us din
jis roz deedar me mera ibaadat-e-anjaam aaya


hum to soch betthe ho jaaen na yun hi zaya
ta umra intezaar lekin aaj kuchh kaam aaya



jo labon pe unke aaj mera naam aaya...




Cheers
Hitesh Dhall

2 comments: