Wo bhi ek daur tha jo guzar gaya
yaad bas uski kuchh khayal me baaki hai
Itr ba ishq e junoon tha jo utar gaya
khushbu uski bas iss rumaal me baaki hai
Kalam o dawaat-e-gham bhi sookhta hai ab
ashqon ki dhuli syaahi nam muskaan me baaki hai
Thami fizaon me kuchh suqoon sa bikhra hai
toofan ka shor dariya ki thakaan me baaki hai
Udd chala hai rang abb in girti deewaron ka
tasveerein berang si kuchh makaan me baaki hai
Ishq-e-khanjar ho chala ab to marz jeene ka
quwwat e zeher abhi kuchh jaam me baaki hai
Wo jo ek daur tha, kab ka guzar gaya
mamool e justaju magar har shaam me baaki hai
- Hitesh Dhall
- Hitesh Dhall